Faiz Ahmad Faiz: Hum Dekhenge

Hum dekhenge
Lazim hai k hum bhi dekhenge
Wo din k jis ka wada hai
Jo looh-e-azl pe likha hai
Hum bhi dekhenge

Jab zulm-o-sitam k kooh-e-giran
Roi ki tarah ur jaenge
Hum mehkomon k paaon tale
Ye dharti dhar dhar dharkegi
Aur ahl-e-hukum k sir oper
Jab bijli kar kar karkegi
Hum bhi dekhenge

Jab arz-e-Khuda k kaabe se
Sab but uthwae jaenge
Hum ahl-e-safa mardood-e-harm
Masnad pe bethae jaenge
Sab taaj uchale jaenge
Sab takht girae jaenge
Hum bhi dekhenge

Bas naam rahega Allah ka
Jo ghayab bhi hai hazir bhi
Jo manzar hai nazir bhi
Uthega ANAL HAQ ka nara
Jo mai bhi hon tum bhi ho
Aur raaj karegi Khalq-e-KHUDA
Jo mai bhi hon tum bhi ho
Hum dekhenge
Lazim hai hum bhi dekhenge
Hum dekhenge ...!